Main nay daikha hai yeh har roz sahar say pehlay
Phool aatay hain gulistaan main bashar say pehlay
Kaisay manzil milay ham ko hain unhi main shamil
Lut giay loag jo aghaaz ay safar say pehlay
Akhri main hi tha puncha tha jo on k dar par
Loag punchay thay miray khoon ay jigr say pehlay
Ham nay walah siva tairay kisi shakhs ko be
Kabi daikha nahi ulfat ki nazar say pehlay
Dais doori k sabab talkhi c hai aadat main
Aisay hargiz na thay mehroomi dar say pehlay
Aaj har haal main alaan ay wafa krna hai
Kr sakay jis ko na ham shah k dar say pehlay
Mairay maa'n baap miri jaan ho on par qurban
Harz ay jaa'n hain woh mujay bint o pasar say pehlay
Phar phara be na sakay zabah k doran shehzad
Os nay par kaat k rakhwa diay sar say pehlay
Poetry Sms Uploaded ! Short : Sher o Shayari- Urdu "Suno Jaana"
No comments:
Post a Comment