Hoan
bani maen adam ko wujood may lanay kay leye
Hain
baitab ab har koi mujhko mitanay kay liay
Lekar
agosh mein apnay har shab ko sulaya tha jisay
Lahoo
apna shoq say har roz pilya tha jise
Kia
hasaya tha usey khud ko rulane k leye?
Majbooriyon se bhari
he zat meri phoolon se nazuk he mera dil
Kisi ne samjha dard ke kabil or kisi ke leye hon ronak.e.mehfil
Kisi ky leye rahat.e.rooh kisi ne aag di jalane ke leye
Mere chehre pe he rahmat mere qadmon he jannat
Wafa ka wujood hoan main mujhse hui aghaz.e.muhabat
Hain phir bhi tamasha mujhko bewafa banane ke leye
Phool bhi maen kali bhi maen he rishta mera baharon se
Zulmat bhi mujhpe wahshat bhi mujhpe apne hi saharon se
Hukoomat dilon pe kahin or hon kahin kisi ka dil bahelane ke leye
Mana ke ye khudkushi ka maqaam hai
Par marne se pehle bhi to marna haram hai
Na jana haal.e.dil kisi ne har koi aya faqat dafnane ke leye
Shagufta hoke kali sab ke dil ki phool hojaae
A kash ye iltaj.e.orat qubool hojae
Aae koi nekyon ki tarha sath mera nibhane ke leye
Hont rahete hen khamosh dard jitne bhi milte rahen
Dua he phir bhi mujhko mitane wale khilte rahen
Kaash aae abbas koi sab ko mere dastan samjhane ke leye
Hon bani maen adam ko wujood me laane keye leye
He betab ab har koi mujhko mitane ke leye