Romantic Shayari - Chand Jaisa Tha - Six Line Love Poetry in Urdu

December 5, 2011

Hamaray hathon may ik shakal chand jaisi thi
Tumhain yeh kaisay bathain woh raath kaisi thi

Mehak rahay thay miray hont os k khoshboo say
Ajeeb aag thi bilkul gulaab jaisi thi

Issi may sab thay meri maan,behn be bivi be
Samaj raha tha jisay may woh aisi waisi thi
=============================
Urdu Poetry( Noshi Gilani) ,Best Urdu Poetry Gazzal/Shaiyri With Very Sad Exclusive Picture

Best !Pashto Poetry, Pashto sms Ghazal "Ma Kava"

December 4, 2011

Pashto Shayari sms By Fazal Hakim Andalib
Da ashiqano na nafrat ma kava
Khair day ka na kavay, ulfat ma kava

Pa zroono kar da parharoono ka v
Da khpal qatil nazar seefat ma ka va

Ma wrta vay jafa zakhmlay na sham
Ratha ay ovay mohabbat ma kava

Za ay pa stargo k losthlay shama
Matha pa shondo banday sat ma ka va

Za ba la stargo khaoray o saandama
Tha hm alwat doomra oochat ma kava

Da umer baad ay laka gul raija v
Ghoroor da hussan pa daolat ma kava

Ay andaliba chay manzal na lariii
Da dasay khalqo imamat ma kava
-----------------------------------------
Pashto Very Charming Poetry-Rehmat Shah Sahil Pashto sms Poetry

Shayari Urdu ! Parveen Shakir Urdu Shayari in Urdu.

Youn hosla dil nay hara kab tha
Sartaan mira sitara kab tha

Lazim tha guzarna zindagi say
Bin ay zehr piay guzara kab tha

Kuch pal osay oar daik saktay
Ashkon ko magar gawara kab tha

Ham khud be judai ka sabab thay
Os ka hi qasoor sara kab tha

Ab oar k saat hai tho kia dukh
Pehlay be koi hamara kab tha

Ik naam pay zakham khil utay thay
Qatil ki taraf ashara kab tha

Aiy ho tho roshni hoi hai
Iss baam pay koi taara kab tha

Daika hoa ghar tha par kisi nay
Dulhan ki tarah sanwara kab tha
---------------------------------------
Urdu Idealistic Poetry! Heart Touching Urdu Love Poetry in Style

Urdu Sad Shayari ! Very Beautiful And Heartbreaking Urdu Ghazal

Urdu sms Shayari !
Sochta hoan k osay neend be aati ho gi
Ya meri tarah faqat ashk bahati ho gi

Wahi meri shakal mira naam bhulanay wali
Apni tasveer say kia ankh milathi ho gi

Is zameen par be hai sailab miray ashkon say
Mairay matham ki sada arsh hilati ho gi

Shaam hotay hi woh chokat pay jala k shamain
Apni palkon pay kai khwab sulathi ho gi

Os nay silwa be liay hoan gy siya rang libaas
Ab moharam ki tarah eid manati ho gi

Hoti ho gi miray bosay ki talab may pagal
Jab be zulfon may koi phoool sajathi ho gi

Miray tareek zamanon say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilathi ho gi

Dil ki masoom ragain kud hi sulagti ho gi
Jonhi tasveer ka kona woh jalathi ho gi

Roop day kr mujay os may kisi shehzaday ka
Apnay bachon ko kahani sunati ho gi

Enjoy reading design poetry ! Urdu Best Poetry-Urdu Ghazal of Faraz with Digital Background

Urdu Love Shayari !Appealing Shayari Urdu Ghazal, Lubna safdar

December 3, 2011

          Urdu Shayari sms !
Aik chehra hai jo is dil may chupa raka hai
Oar phir dil ko be mandar sa bana raka hai

Chehr ka chehr chala aata hai pathar lay kr
Os ki chahat nay tho deewana bana raka hai

Aaj phir os ka yeh vaada hai k woh aiy ga
May nay is wastay is ghar ko saja raka hai

Dil k pathal ki tareeki gai janay kaha
Ik dya naam ka tairay jo jala raka hai

Mairay hathon ki lakeeron may koi oar nahi
Ik taira naam hai sar ay harf dua raka hai

Chahnay walo say kia aisa kaha jatha hai
Jo salook os nay mairay saat rawa raka hai
                         =======
Ahmad nadeem qasmi wrote nice poetry during his life.
Urdu Praising Poetry of Ahmad Nadeem Qasmi In Fresh Wallpaper

 

Facebook Page

Advertisement

Followers