Showing posts with label Parveen Shakir Poetry. Show all posts
Showing posts with label Parveen Shakir Poetry. Show all posts

Parveen Shakir Shayari On Love ! Ghazal Shayari

July 6, 2012


khuli ankhon mein sapna jhanktha hai
woh soya hai k kuch kuch jagtha hai

teri chahat k bheegay janglo'n mein
mira tan, mor bn kr naachta hai

mujay har kafiyyat mein kion na samjay
woh miray sab hawalay janta hai

mein oski dastaras mein hoan, magar woh
mujay meri raza say mangta hai

kisi k dihaan mein dooba hoa dil
bahanay say mujay be taaltha hai

sarak ko chor kr chalna paray ga
keh miray ghar ka kacha raastha hai

Parveen Shakir :Sad Urdu Poetry ( Ghazal) 2012!

March 17, 2012


Raat gehri hai magar chand chamakta hai abi
Mairay maathay pay tira piyar damakta hai abi

Meri saanso mein tira lams mehakta hai abi
Miray seenay maein tira naam dharakta hai abi

Zeest krnay ko miray paas buhat kuch hai abi
Teri awaz ka jaado hai abi mairay liay

Tairay malboos ki khushboo hai abi mairay liay
Teri baanhein, tira pehloo hai abi mairay liay

Sab say barh kr, meri jaan ! thoo hai miray liay
Zeest krnay ko miray paas buhat kuch hai abi

On ths Blog You can Find Plenty of Urdu Poetry in Urdu  So Visit us Daily and Keep Enjoying Poetry.

Love Poetry In Two Line : 2012 Best Poetry

March 9, 2012


2line image shayari
















Sab Ishq Karein Gy Oar Sacha
Hain Apnay Kabeelay Mein Yeh Khaami..

Best Urdu Poetry Sad & Special By Parveen Shakir ! Best Of All

January 28, 2012


Kia kray mairi maseehai be karnay wala
Zakham hi yeh mujay lagta nahi bharnay wala

Zindagi say kisi samjotay k baa wasf ab thak
Yaad aata hai koi maarnay marnay wala

Os ko be ham tiray kochay may guzaar aiy hain
Zindagi may woh jo lamha tha sanwarnay wala

Os ka andaaz ay sukhn sab say juda tha shayad
Baath lagti hoi, lehja woh mukarnay wala

Shaam honay ko hai oar ankh may ik khwaab nahi
Koi iss ghar may nahi roshni karnay wala

Judaii Shayari 2012 Collection ! Short Fine Urdu Poetry.

January 25, 2012

Woh muj say 2oor khush hai, khafa hai? udaas hai?
Kis haal may hai ? kuch tho mira nama bhar khulay

Unglion ko tarash 2oan, phir be
Aadatan os ka naam likhein gi

New Collection 2012 Shayari
                ------------
Beautiful One Urdu Shayari Sher !


Badal ko kia khabar hai k barish ki chah may
Kaisay buland o baala shajar khaak ho giay 


Gham Ay Judai : Beautiful Short Shayari Of Legend Parveen Shakir

January 15, 2012


Ham yaad tho aien gy lakin bichrtay waqt
Taaza sa ik khiyal teri chasham thar pay tha

Suntay rahay akheer thalak mehr maah o najam
Iss khaakdaa'n ka saara fasana ajeeb tha
-------------------------------------------------
Plenty of More Shayari :  Urdu Ghazals- Bay Dam Hoay Beemar Dawa Kion Nahi Daitay-sms Poetry

Shayari in Urdu! Hot : Favourite Parveen Shakir Urdu Poetry.

December 23, 2011

Jis tarah khwab mairay ho giay raiza raiza
Iss tarah say na kabi toot k bikhray koi

May tho is din harasan hoan k jab hukam milay
Khushk phoolon ko kitabon may na rakay koi

Sad Urdu Poetry! Written By : Parveen Shakir "Milna"

December 22, 2011

Parveen shakir was iconic urdu poetry writer.she wrote alot of urdu poetry books.

Dil ka kia hai woh tho chahay ga musalsal milna
Woh sitam ghar be magar sochay kisis pal milna

Waan nahi waqt tho ham be hai adeem ul fursat
Os say kia miliay jo har roz kahay, kal milna

Shayari Urdu ! Parveen Shakir Urdu Shayari in Urdu.

December 4, 2011

Youn hosla dil nay hara kab tha
Sartaan mira sitara kab tha

Lazim tha guzarna zindagi say
Bin ay zehr piay guzara kab tha

Kuch pal osay oar daik saktay
Ashkon ko magar gawara kab tha

Ham khud be judai ka sabab thay
Os ka hi qasoor sara kab tha

Ab oar k saat hai tho kia dukh
Pehlay be koi hamara kab tha

Ik naam pay zakham khil utay thay
Qatil ki taraf ashara kab tha

Aiy ho tho roshni hoi hai
Iss baam pay koi taara kab tha

Daika hoa ghar tha par kisi nay
Dulhan ki tarah sanwara kab tha
---------------------------------------
Urdu Idealistic Poetry! Heart Touching Urdu Love Poetry in Style

Love Shayari - Nice Short sms Shayari By Parveen Shakir

November 18, 2011

Kon janay k naiy saal may thoo kis ko parhay
Taira miyaar badaltha hai nisaabon ki tarah

Ab iska fan tho kisi oar say hoa mansoob
May kis ki nazam akailay may gungunaon gi

Takaza Kia Hai Urdu Ghazal


Dard Bhari Shayari - Ab Isska Fun Tho Kisi Oar Say Hoa Mansoob

November 3, 2011

Ko janay k naiy saal may thoo kis ko parhay
Taira maiyaar badaltha hai nisaboon ki tarah

Ab isska fun tho kisi oar say hoa mansoob
May kis ki nazam akailay may gungunaon gi

                     _________


Qasoor ho tho hamaray hisab may likh jaiy
Mohabathon may jo ahsaan ho, tumhara ho

Roshni pai nahi , raat be baqi hai abi
Chand say rabt magar toot raha ho jaisay

Urdu Poetry Special 2 Ashyaar Of Late Parveen Shakir In Design

April 9, 2011

Barsaat k jalthay hoay jangal k kinaray
Kis Kaaf k bashinday say tehri hai Mulaqat

Sab dagh barishon ki hawa main bhujay rahay

Bas Dil ka aik zakham purana ajeeb tha

____________________________

Parveen Shakir received Master Degree in English Literature from University of Karachi

she died in 1994

___________________________

Urdu Loving Poetry A Unique Shayari(Ghazal) For Lover :

March 31, 2011

Kulay gi os nazar pay chashmay tar ahesta ahesta
Kiya jatha hai pani may safar ahesta ahesta

Koi be zanjeer phir wapis wahi par lay k aati hai
Katan ho rah tho chut tha hai ghar ahesta ahesta

Badal daina hai rstha ya kahi par bait jana hai
K thakta ja raha hai ham safar ahesta ahesta

Khalash k saat iss dil say na mairi jan nikl jaiy
Kinchay teer-ay-shnasaee magar ahesta ahesta

Hawa say sarkashi may phool ka apna ziyyan daikha
So juktha ja raha hai ab yeh sar ahesta ahesta

Urdu Romantic Poetry Written by Great Poetess Parveen Shakir

March 10, 2011

Shayad us nay mujay tanha daik lia hai
Dhuk nay mairay ghar ka rasta daik lia hai

Apnay ap say ankh churai phirthi hoan main
Aiyeenay main kis ka chehra daik lia hai

Ab be sapnay boay tho eeman hai us ka
Us nay in ankhon may sehra daik lia hai

Us nay mujay darasal kabi chaha hi nahi tha
Khud ko day kr yeh be dhoka daik lia hai

Us say milthay waqt ka rona kuch fitri tha
Us say bichr janay ka nateeja daik lia hai

Rukhsat karnay k aadaab nibanay hi thay
Band ankhon say us ka jatha daik lia hai

Urdu poetry Very Nicely Written By Pak Lady Poetess Parveen

February 24, 2011

Pehla deay khud hath talabgar k aagay
Daikha nahi kuch ham nay khareedar k aagay
Phir sham hoi oar oar barha nakhun ay omeed
Phir subha hai oar hm usi deewar k aagay
Shehzaday ! meri neend ko tho kaat chukha hai
Tehra nahi yeh jangal teri talwaar k aagay
Kia jaan k khasaray ki tamna ho k ab ishq
Barhta hi nahi darhm o deenar k aagay
Who eerh lagi rakhshay zamana ko k ab thoo
Iswaar sra seema hai rehwaar k aagay
Phir roza ay maryam jo faqeeho may hai maqbool
Aajiz thay buht woh meri guftaar k aagay
Inkaar ki lazat may jo sarshar rahay hai
Kb toot sakay hai rasan o daar k aagay
_______________________________
Beautiful best urdu Poetry


Nice Urdu Poetry(Urdu Ghazals)sms - Ab Bhala Chor K Ghar Kia Krtay

February 22, 2011

___________________________________
Ab bala chorh k ghar kia kartay
Sham k waqt safar kia kartay


Teri masrofiyetain jantay hai
Apnay aanay ki khabar kia kartay

Jb sitray hi nahi mil paiy
Lay k ham shams o qamar kia kartay

Who musafir hi kuli dhoop ka tha
Saaiy pehla k shajar kia kartay

Khaak hi awal o akhir tehree
Kar k zary ko gehr kia kartay

Raaiy pehlay say bana li thoo nay
Dil may ab ham tairay ghar kia kartay

Ishq nay saaray saleeqay bakhshay
Husan say kasb-ay-honor kia kartay
____________________________________
Parveen Shakir is a legendary urdu poetees
she wrote several books

Parveen Shakir very Nice Poem in English

February 6, 2011

PINK FLOWERS

 

Pink flowers blossomed in the season I met you.
With your attentions they are opening again,
though these wounds had healed already.

How long could the columns support these houses shaken to their foundations?
That old strangeness came back, as if our meetings had been done.

The body was still hotfoot with its infatuations,
the feet bruised on the way

Parveen Shakir Three Poems Urdu Poetry-Collection

February 5, 2011


"A SIMPLE REQUEST"
Lord, I know the duty of a hostess,
but please let it be that this year
either rain clouds visit me
or my loneliness




"OBSTINATE"
Why should I be the first to phone?
He knows too:
last night came the first monsoon



"TO A FRIEND"

Listen, girl, these moments are clouds:
you let them pass and they’re gone.
Soak up their moist touch. Get
drenched.
Don’t waste a single drop.
Listen, downpours don’t remember
streets,
and sunshine can’t read roadsigns.
_____________________________
Parveen Shakir three Poems(Poetry)  Collection

Parveen Shakir Finest Poetry,Nice Super Best Urdu Poetry

February 4, 2011


Famous Nice Gazzal by (Late) Parveen Shakir 1952-1994
 

Facebook Page

Advertisement

Followers