Showing posts with label Bashir Badar Urdu Poetry. Show all posts
Showing posts with label Bashir Badar Urdu Poetry. Show all posts

Urdu Language! sms Shayari, Poet is : Dr.Bashir Badar

December 27, 2011

Kon kehta hai k rango k farishtay utrain
Kuch be barsay magar iss baar tho ghar ghar barsay

Ham say majboor ka ghussa be ajab badil hai

Friendship Shayari ! Full of meaning Nicely Written

December 17, 2011

Kaha ab duaoun ki barkatain , woh naseehatain woh hadayation
Yeh zarooraton ka kholoos hai, yeh matlabon ka salam hai

Youn hi roz milnay ki aarzoo bari rakh rakhao gufthagoo
Yeh sharaftain nahi bay gharaz issay ap say koi kaam hai

Urdu Shayari Love : Short Urdu Poetry For Bewafa Lover

December 13, 2011

Hot Post :Urdu Poetry of Mohsin Naqvi with Very Nice Sad Girl Eyes Photo - Best UrduPoetry Gazzal in stylish Nice Design
----------------------------------------------------------
Dil ki dehleez pay yaadon k diay rakhay hai
Aaj thak ham nay yeh darwazay khulay rakhay hai

Iss kahani k woh kirdaar kaha say laaon??????
Wahi darya hai wahi kachay garhay rakhay hai
--------------------------------------------------------

Romantic Shayari - Chand Jaisa Tha - Six Line Love Poetry in Urdu

December 5, 2011

Hamaray hathon may ik shakal chand jaisi thi
Tumhain yeh kaisay bathain woh raath kaisi thi

Mehak rahay thay miray hont os k khoshboo say
Ajeeb aag thi bilkul gulaab jaisi thi

Issi may sab thay meri maan,behn be bivi be
Samaj raha tha jisay may woh aisi waisi thi
=============================
Urdu Poetry( Noshi Gilani) ,Best Urdu Poetry Gazzal/Shaiyri With Very Sad Exclusive Picture

Ghazal in Urdu Shayari By Bashir Badar,Yn Bay Sabab Na Phira Kro Koi Shaam Ghar May Raha Kro

October 1, 2011


Yn bay sabab na phira kro koi shaam ghar may raha kro
Woh ghazal ki sachi kitab hai usay chupkay chupkay parha kro

Koi haath be na mailaiy ga jo glay milo gay tapak say
Yeh naiy mizaj ka shehr hai zra faslay say mila kro

Abi raah may kai morr hain koi aiy ga koi jaiy ga
Tumhain dil say jis nay bhula dia usay bhoolnay ki dua kro

Mujay ishtehar si lagti hai yeh mohabbathon ki kahanian
Jo kaha nahi wohh suna kro jo suna nahi woh kaha kro

Kbi husan parda nasheen be ho zra ashiqana libaas may
Jo may ban sawar k kahi chlon miray saath tum be chla kro

Nahi bay hijab woh chand sa k nazar ka koi asar ho
Usay itnay garmi ay shoaq say bari dair thak na thaka kro

Urdu Khoobsoorat Poetry-Urdu Gazzal Of Bashir Badar "Aur Sahi"

June 28, 2011

Phool sa kuch kalaam aur sahi
ek Ghazal us ke naam aur sahi

uski zulfen bahut ghaneri hain
aik shab kaa qayaam aur sahi

zindagi ke udaas qisse hain
aik larki ka naam aur sahi

karsiyon ko sunaaiye Ghazalen
qatl ki aik shaam aur sahi

kapkapaati hai raat siine men
zaher kaa aik jaam aur sahi
 

Facebook Page

Advertisement

Followers