Shayari Urdu ! Parveen Shakir Urdu Shayari in Urdu.

December 4, 2011

Youn hosla dil nay hara kab tha
Sartaan mira sitara kab tha

Lazim tha guzarna zindagi say
Bin ay zehr piay guzara kab tha

Kuch pal osay oar daik saktay
Ashkon ko magar gawara kab tha

Ham khud be judai ka sabab thay
Os ka hi qasoor sara kab tha

Ab oar k saat hai tho kia dukh
Pehlay be koi hamara kab tha

Ik naam pay zakham khil utay thay
Qatil ki taraf ashara kab tha

Aiy ho tho roshni hoi hai
Iss baam pay koi taara kab tha

Daika hoa ghar tha par kisi nay
Dulhan ki tarah sanwara kab tha
---------------------------------------
Urdu Idealistic Poetry! Heart Touching Urdu Love Poetry in Style

No comments:

Post a Comment

 

Facebook Page

Advertisement

Followers