Showing posts with label Tanha Abbas Shayari. Show all posts
Showing posts with label Tanha Abbas Shayari. Show all posts

Wonderful Creation Sad Shayari [ Ghazal ] By Tanha Abbas

December 9, 2012


Qadar kia he chnadni ki kabhi in sitaron se poocho
Mosam ke maze hote hen kese kabhi in baharon se poocho 

Puhnch jaati he kashti manzil pe toofan se bach kar
Dard deti hen lahren darya ko kitana 

Kabhi un kinaron se pooch
Saje mahrelon me mehfil ka maza to ata he sab ko 

He kia tarap tanhai ki
kabhi khali makan ki diwaron se poocho 

paa lete hen manzil kuch log sath apno ke milkar
kesa he safar bin hamsafar ke

kabhi un besaharon se poocho
tamasha mot ka to hota he sar.e.aam sab ke samne 

kese leti he jan zindagi kabhi zindagi ke maron se poocho
bayan kia karon maen dastan.e.dard ko is qalam se abbas

hoti hen kitni tarap bhari kabhi dil se nikli pukaron se poocho
Qadar he kia chnadni ki kabhi in sitaron se poocho

Sad Shayari Sms Ghazal Dedicated Poetry for Malala Yousafzai

November 16, 2012

Hoan bani maen adam ko wujood may lanay kay leye
Hain baitab ab har koi mujhko mitanay kay liay

Lekar agosh mein apnay har shab ko sulaya tha jisay
Lahoo apna shoq say har roz pilya tha jise

Kia hasaya tha usey khud ko rulane k leye?
Majbooriyon se bhari he zat meri phoolon se nazuk he mera dil

Kisi ne samjha dard ke kabil or kisi ke leye hon ronak.e.mehfil
Kisi ky leye rahat.e.rooh kisi ne aag di jalane ke leye

Mere chehre pe he rahmat mere qadmon he jannat
Wafa ka wujood hoan main mujhse hui aghaz.e.muhabat

Hain phir bhi tamasha mujhko bewafa banane ke leye
Phool bhi maen kali bhi maen he rishta mera baharon se

Zulmat bhi mujhpe wahshat bhi mujhpe apne hi saharon se
Hukoomat dilon pe kahin or hon kahin kisi ka dil bahelane ke leye

Mana ke ye khudkushi ka maqaam hai
Par marne se pehle bhi to marna haram hai

Na jana haal.e.dil kisi ne har koi aya faqat dafnane ke leye
Shagufta hoke kali sab ke dil ki phool hojaae

A kash ye iltaj.e.orat qubool hojae
Aae koi nekyon ki tarha sath mera nibhane ke leye

Hont rahete hen khamosh dard jitne bhi milte rahen
Dua he phir bhi mujhko mitane wale khilte rahen

Kaash aae abbas koi sab ko mere dastan samjhane ke leye
Hon bani maen adam ko wujood me laane keye leye
He betab ab har koi mujhko mitane ke leye


Poetry of Love " Karlon Bayan Tujko Ik Ghazal Mein"

November 9, 2012


Karlon bayan tujhko ik gazzal me
Likhdon har lafz teri adaon pay

Dil karta he likhdon ik gazzal
Aaj teri masoom nigahon pay

Lapet leta ho jese phoolon ka
Chaman mere sare badan ko

Dil karta he likhdon ik gazzal
Teri un purkashish bahon pay 


Kese chooke teri zulfon ko
Phir se ajati hen gardish me 

New ( Fresh ) Shayari Sms a Long Ghazal By Tanha Abbas

November 7, 2012

Mera kasoor he itna ke maen kasoorwar nahi
Na mera he koi apna or mera koi ghar bar nahi

Mera kasoor he itna ke maen kasoorwar nahi
Khushyon se bhara ye jahan he sare jahan ke leye

Rona he muqadar mera or hasne
Ka maen haqdar nahi?

Bakhshe hen us raeheem ne kisi ko sheeshon ke mahel bhi
Par mere ghar me chahon nahi kion ke koi dar.o.deewar nahi 


Nafrat ki nigah se dekhte hen log aksar mujhko 
Shayad gunah he garib hona warna maen koi ginahgar nahi


Khuda ne martaba insan ka farishton se bhi aalla kia
Meri bhi he zat wahi par mera koi khareedar nahi 

 

Facebook Page

Advertisement

Followers