New ( Fresh ) Shayari Sms a Long Ghazal By Tanha Abbas

November 7, 2012

Mera kasoor he itna ke maen kasoorwar nahi
Na mera he koi apna or mera koi ghar bar nahi

Mera kasoor he itna ke maen kasoorwar nahi
Khushyon se bhara ye jahan he sare jahan ke leye

Rona he muqadar mera or hasne
Ka maen haqdar nahi?

Bakhshe hen us raeheem ne kisi ko sheeshon ke mahel bhi
Par mere ghar me chahon nahi kion ke koi dar.o.deewar nahi 


Nafrat ki nigah se dekhte hen log aksar mujhko 
Shayad gunah he garib hona warna maen koi ginahgar nahi


Khuda ne martaba insan ka farishton se bhi aalla kia
Meri bhi he zat wahi par mera koi khareedar nahi 



Kitne khushnaseeb hen wo bache jo maa ke agosh me palte hen 
Sukoon mere naseeb me nahi ke meri kismet me maa ka pyar nahi


Khilono se khelon uchlon kodon maen bhi a kash sab ke sath
Kion sath mere khelna kisi ko bhi dushwar nahi 


Jab kabhi aati he tabdeeli tabiat me or tarapta hon maen sahare ko
Haske kahe jate hen sab ye bahane hen mere maen beemar nahi


Nikalti he rooh jab mere nanhe shareer se farishton ke matam me 
Mayat uthate nahi log kahete hen ye yateem he iska koi parivar nahi


Qayamat ho na barpa kahin qahar na ho nazil meri sadaon se abbas
Is leye rahete hen hont khamosh mere zuban pe koi pukaar nahi


Mera kusoor he itna ke maen kusoorwar nahi 
NA MERA HE KOI APNA OR MERA KOI GHAR BAR NAHI???

No comments:

Post a Comment

 

Facebook Page

Advertisement

Followers