Ay taghayur ay zamana yeh ajeeb dil lagi hai
Na waqar ay dosti hai na majal ay dushmani hai
Yahi zulmatein chinein jo tiray surkh anchalon mein
Inhi zulmathon say shayad miray ghar mein roshni hai
Miray saat tum be chalna miray saat tum be aana
Zra gham k raasthon mein bari taiz tairgi hai
Yeh mushaida nahi hai miray dard ki sada hai
Miray dagh ay dil lutay hein teri bazam jab sajee hai
Gham ay zindagi kaha hai abi wehshaton say fursat
tTray naaz uta hi lein gy abi zindagi pari hai
Tiray khushk gaisoun mein meri aarzoo hai pinhaan
Tiray shokh bazooun mein meri daastan rachee hai
Jisay apna yaar kehna osay chorna bhanwar mein
Yeh hadees ay dilbaraan hai, yeh kamal dilbari hai
Woh guzar gia hai saghir koi qafla chaman say
Kahe aag jal rahi hai kahe raakh so gyi hai
No comments:
Post a Comment