Bay sada lafzon main
Wajh-e-zindagi keh kay
Wasl ki zaroorat par
Phir say zor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Zikr wohi kertay hein
Naam aur detay hein
Zabt ke kinaaron say
Dard aan lipta hai
Toot'tay kinaaray ab
Dard aur detay hein
Aaj aisa kertay hein
Dard say ulajhtay hein
Zabt chor detay hein
Taar taar daaman ko
Khaar khaar raahon main
Ranjishein bhula kay ham
Aa kay jor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Khud nahin palat'tay hein
Raah mor detay hein
Sabz sabz maosam main
Laal laal aankhon kay
Khwaab ki ragon se ham
Khoon nichor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Ye bhi kar guzartay hein
Khwaab tor detay hein
Aa keh ab duaaon ko
Maatami ridaaon main
Phir se kar kay alwidaa
Mauqa auor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Darya main utartay hein
Rab pe chor detay hein
No comments:
Post a Comment