Love Shayari In Urdu & The Poet is Farhat Abbas Shah

February 13, 2012


Ankh say rooh ka gham zahir hai
Iss ka aik aik sitam zahir hai

Bay khiyali main tumhari hi taraf
Mairay utain gy qadam zahir hai

Kuch chupa lainay say kia hai hasil
On ka jitna hai karam zahir hai

Dil k bheegay hoay mosam ki fiza
Az roo'ay deeda nam zahir hai

Tum bhula 2 gy tho phir tum ko be
Bhool hi jain gy ham zahir hai
Here is Urdu Love Shayari For Loverz ! Paveen Shakir Urdu Poetry Milna Ghazal



Shayari On Friendship : Send It To All Friends in 2012

February 12, 2012

Ao yaaro'n, pal bhar baito, kis ko khabar hai kal kia ho?
Kuch tho dil ki batain kr lo, kis ko khabar hai kal kia ho

Kion rotay ho os angan ko jis main piyar ki khushboo ti
Apnay aansu rokay rako, kis ko khabar hai kal kia ho

Bay ghar ho kr, bay bas ho kr, basti basti phirna kia
Socho, socho, kuch tho socho, kis ko khabar hai, kal kia ho

Apnay koo'an hai, apnay paani, phir kion piyaas ho qismat main
Apnay haq say haath say na khaincho, kis ko khabar hai, kal kia ho

Dhool, dhoo'an, margholay ban kr naach rahi hain kuch ankhain
In ankhon ka bheed tho samjo, kis ko khabar hai, kal kia ho

Ghar ghar main lobaan jala kr, loat giay, jo aiy thay
Zehr hai ab har ankh main daikho, kis ko khabar hai, kal kia ho

Jaan k dushman kal be tay woh, jaan k dushman aaj be hain
Jo kehna hai, moan par keh 2, kis ko khabar hai kal kia ho

Band kwaroon k andar be aag say bachna mushkil hai
Apnay ghar say bahir niklo, kis ko khabar hai, kal kia ho

Phoolon par chanlnay walay ab aangaron par chaltay hain
Waqt k taiwar ghor say daikho, kis ko khabar hai kal kia ho

Basti jal kr rakh hoi tho jangal main bas jain gy
Aisi baat par laanat bhaijo, kis ko khabar hai kal kia ho

Cheekhon k mosam main Qaiser, chup jo rahay woh mujrim hain
Moun tho kholon, kuch tho bolo, kis ko khabar hai, kal kia ho
Urdu Sad Shayari : Urdu Ghazal : Sher o Shayari Of Syed Wasi Shah ! Special

Bewafa Short Shayari In Six Line

February 11, 2012


Khud ko tabdeel kr lia tum nay
Ik niya ham safar badaltay hi

Gir k be ham sanbal giay yaron
Oar tum gir paray sanbaltay hi

Phail  jaati hai chandni har su
Chand k baam par nikaltay hi

Romantic Shayari On loveliness Of Lover


Main nay daikha hai yeh har roz sahar say pehlay
Phool aatay hain gulistaan main bashar say pehlay

Kaisay manzil milay ham ko hain unhi main shamil
Lut giay loag jo aghaaz ay safar say pehlay

Akhri main hi tha puncha tha jo on k dar par
Loag punchay thay miray khoon ay jigr say pehlay

Ham nay walah siva tairay kisi shakhs ko be
Kabi daikha nahi ulfat ki nazar say pehlay

Urdu Ghazal, "Ibtida Ko Inteha Kartay Hoay" !

February 10, 2012


Har qadam par ibtida ko inteha kartay hoay
Chal raha hoan manzilon ko raastha krtay hoay

Dard k ahsaas ko had say saiva krtay hoay
Tukray tukray ho gia dil hosla krtay hoay

Bujh gia woh zulmathon ki inteha krtay hoay
Ho gia tanha mujay bay aasra krtay hoay

Saans kion lainay nahi daita hai yeh maazi ka bojh
Dam nikl jaatha hai kaffara ada krtay hoay

Thoo nay be rastay main chora mujh ko oaron ki tarah
Main be kion ruktha tiray haq main dua krtay hoay
 

Facebook Page

Advertisement

Followers