Urdu Ghazal, "Ibtida Ko Inteha Kartay Hoay" !

February 10, 2012


Har qadam par ibtida ko inteha kartay hoay
Chal raha hoan manzilon ko raastha krtay hoay

Dard k ahsaas ko had say saiva krtay hoay
Tukray tukray ho gia dil hosla krtay hoay

Bujh gia woh zulmathon ki inteha krtay hoay
Ho gia tanha mujay bay aasra krtay hoay

Saans kion lainay nahi daita hai yeh maazi ka bojh
Dam nikl jaatha hai kaffara ada krtay hoay

Thoo nay be rastay main chora mujh ko oaron ki tarah
Main be kion ruktha tiray haq main dua krtay hoay


Yeh charagh akhir ay shab jald hi bujhnay ko hai
Ao iss ki lao main jal jain wafa krtay hoay

Ao ik doojay say mil kr zakham dho dalain sabhi
Apni hi ankhoon k pani ko dawa krtay hoay

Mangtay ho muj say ab be mairi chahat ka saboot
Jee utha tha main kabi khud ko fana krtay hoay

Kis qadar saffak hota hain dilon ka ahtisaab
Kanp kanp uth'ta hoan ab koii khata krtay hoay

Jee uthi mairay badan ki roshni say kainaat
Jal raha hoan dosti ka haq ada krtay hoay
Roman English Urdu Ghazals  : Shayari Urdu :One Of Best !Urdu Ghazal Of Nadeem Qasmi !Romantic

No comments:

Post a Comment

 

Facebook Page

Advertisement

Followers