Ishq k sehra may ik lamba safar karna para
Aansoun say khusk honton ko be tar karna para
La ta'aluq ham guzar jatay thay jis deewar say
Ab issi deewar k saiy ko ghar karna para
Aik mushkil thi k sab k samnay kaisay milain
Jo tha rishta khoon ka sarf ay nazar karna para