Sad Urdu Poetry(Short) Koi Na Tha !
January 2, 2012
Ik taulaq ka sira tha doosra koi na tha
Iss say barh kr maira iss say waasta koi na tha
Shehr say nikla tho mairay saat tha aalam tamam
Dasht may puncha tho waah mairay siwa koi na tha
Bewafa Shayari ! Very Catchy Pashto Poetry Ghazal "Janan Day" !
Chay may zargi tha raneezday janan day
Pa shantay speen da falooday janan day
Zargia bas ka doomra ma khwagay ga
Gheg k da lagay shaan mooday janan day
Chay day da zra da ranz tabeeb na shwalo
Zama pa khiyal ay bay faiday janan day
Urdu Love Sms-Ghazal Very Depressing Shayari Sms !
Mohabbat ki aseeri say rihai mangtay rehna
Buhat aasaan nahi hota judai mangtay rehna
Zra sa ishq kr laina, zra sa ankh bhar laina
Aiwaz iss k magar sari khudai mangtay rehna
Kabi mehroom honto par dua ka harf rakh daina
Kabi wehshat may iss ki na rasaai mangtay rehna
Naya Saal Mubarak : New Year Urdu Poetry With Wallpaper !!!
January 1, 2012
Kol ankh zameen daikh falak daikh fiza daikh
Mashriq say obhartay hoay sooraj ko zra daikh
Iss jalwa bay parda ko pardon may chupa daikh
Ayaam ay judai k sitam daikh, jafa daikh
Bay taab na ho maar'ka beem wrja daikh
Hain tairay tasaruf may yeh badil yeh ghatain
Yeh gunbad ay aflaq, yeh khamosh fizain
Yeh koh yeh sehra yeh samandar yeh hawain
Thi paish nazar kal tho farishto ki aadain
Ayeena ayyaam may aaj apni ada daikh
Subscribe to:
Posts (Atom)