Showing posts with label Saghir Siddiqee. Show all posts
Showing posts with label Saghir Siddiqee. Show all posts

Romantic Urdu Shayari Of Saghir Siddique,a Great Urdu Poetry Poet

July 8, 2012

Agar yeh andhaira oar kuch din raha tho aisa zaroor ho ga..
Olaj parein gy banaam e halaat zulf e jaana'n say loag saaqi..

Saghir Siddiqee - Urdu Poetry Ghazal ! Sad.

March 9, 2012


Ay taghayur ay zamana yeh ajeeb dil lagi hai
Na waqar ay dosti hai na majal ay dushmani hai

Yahi zulmatein chinein jo tiray surkh anchalon mein
Inhi zulmathon say shayad miray ghar mein roshni hai

Miray saat tum be chalna miray saat tum be aana
Zra gham k raasthon mein bari taiz tairgi hai

Yeh mushaida nahi hai miray dard ki sada hai
Miray dagh ay dil lutay hein teri bazam jab sajee hai

Gham ay zindagi kaha hai abi wehshaton say fursat
tTray naaz uta hi lein gy abi zindagi pari hai

Tiray khushk gaisoun mein meri aarzoo hai pinhaan
Tiray shokh bazooun mein meri daastan rachee hai

Jisay apna yaar kehna osay chorna bhanwar mein
Yeh hadees ay dilbaraan hai, yeh kamal dilbari hai

Woh guzar gia hai saghir koi qafla chaman say
Kahe aag jal rahi hai kahe raakh so gyi hai

Shayari Love & Pain. "Mairay Naam Krta Hai" Ι Ghazal

January 31, 2012


Jo haadsay yeh jahaa'n mairay naam krta hai
Mira sha'oor unhain nazray jaam krta hai

Hamaray chaak ay garaiban say kailnay waloo !!!
Hamain bahaar ka sooraj salam krta hai

Hamain say qos ay qazah ko mili hai rangeeni
Hamaray dar pay zamana qiyaam krta hai

Yeh maikada hai yahan ki har aik shay ka huzoor
Gham ay hayaat buhat ahtiraam krta hai

Yahi sharab, yahi bay nazeer shay Saqi
Issi ka rang hamain lala faam krta hai

Faqeha shehr nay tuhmat lagai Saghir
Yeh shakhs dard ki dolat ko aam krta hai


Urdu Shayari in Urdu On Love. Faiz Ahmed Faiz Urdu Poetry,Ghazal in Urdu Poetry

Sab Tumharay Hi Taraf Dar Nazar Aatay Hai-Urdu Poetry

October 31, 2011

             Sad Urdu Poetry
Kal jisay choo nahi sakti thi farishto ki nazar
Aaj woh ronaq ay bazar nazar aatay hia

Hashar may kon gawahi meri day ga saghir
Sab tumharay hi taraf dar nazar aatay hai

Urdu Romantic Poetry in Very Best Eye Catching Unique Design- Urdu Finest Shayari Gazzal of Saghir

September 1, 2011

saghir urdu poetry photos

Urdu Shayari Designed in Urdu Saghir Siddique

yeh jo deewanay say 2 char nazar aatay hain
in may kuch sahb ay israr nazar aatay hain

teri mehfil ka bharam rakhtay hain so jathay hain
warna yeh loag tho baidar nazar aatay hain

door thak koi sitara hain na koi jugnu
marg ay omeed k aasaar nazar aatay hain

mairay daman main shararthon k siva kuch be nahi
aap pholoon k khareedar nazar aatay hain

kal jisay choo nahi sakthi thi farishto ki nazar
aaj woh ronaq ay bazaar nazar aatay hain

hashar main kon gawahi meri day ga Saghir
sab tumharay hi taraf daar nazar aatay hain
 

Facebook Page

Advertisement

Followers