Showing posts with label Jaun Elia. Show all posts
Showing posts with label Jaun Elia. Show all posts

Fresh! Romantic Shayari : Poet is Jaun Elia

December 20, 2011

Chahta hoan k bhool jaon tumhain
oar yeh sab dareecha haiy khiyal

Jo tumhari hi simt khiltay hai
Band kr 2 kuch iss tarah k yahan
Yaad ki aik kiran be na a sakay

Urdu Finest Gazzal/Poetry of Jaun Elia,"Jab terii jaan"

June 26, 2011

Jab terii jaan ho gayii hogi
Jaan hairaan ho gayii hogi

Shab thaa merii nigaah kaa bojh us par
Wo to halkaan ho gayii hogi

Uskii Khaatir hu’aa main  Khaar bahut
Wo merii aan ho gayi hogi

Ho ke dushvaar zindagii apni
Kitni aasaan ho gayii hogi

Be-gilaa hoan main ab bahut din se
Wo parishaan ho gayi hogi

Ek haveli thii dil muhalle main
Ab vo viiraan ho gayi hogi

Uske kuuche main aayii thi Shireen
Uski darbaan ho gayi hogi

Kamsini main bahut shariir thi vo
Ab to shaitaan ho gayi hogi
 

Facebook Page

Advertisement

Followers