Aarzoo Shayari Sms By Asif Shehzad

March 16, 2012

Beautiful Loving Urdu Ghazal ! 

Apna osay banana gar mairay bas mein hota
Loat aata loat aana gar mairay bas mein hota

Ankhon mein on ki jaata soorat badal badal kr
Khwaboon mein aana jana gar mairay bas mein hota

Chehray ko muskorahat say mein sajaiy rakta
Ay yaar ! muskurana gar mairay bas mein hota

Doonya say khatam kr k rakh daita ranj o gham ko
Bazm e tarb sajana gar mairay bas mein hota

Qadmon mein on k laa kr taaray bikhair daita
Taaron ko thor laana gar mairay bas mein hota

Laata na naam be mein os bay wafa ka lab par
Shehzad ko bhulana gar mairay bas mein hota

See More !!!
Huge Collection Of Designed Sher o Shayari 2012

No comments:

Post a Comment

 

Facebook Page

Advertisement

Followers