2012 Best Selection in Urdu Poetry,Romantic Urdu Ghazal

March 15, 2012


Lamha lamha yaad aata hai pichli ruth ka saat tumhara
Har mosam mein tarpatha hai pichli ruth ka saat tumhara

Ab k be woh ruth ai hai shayad woh be loat hi aiy
Keh keh k yeh behlata hai pichli ruth ka saat tumhara

Jab be teri yaad say aagay barhna chahon tho dil maira
Phir say ankh mein lay aata hai pichli ruth ka saat tumhara

Taira rasta taktay taktay ankh k manzar sard hoay youn
Har manzar mein dar aata hai pichli ruth ka saat tumhara

Vaisay tho bay dardi jeena mushkil ho jana tha lakin
Sansein har dam mehkata hai pichli ruth ka saat tumhara

Aas omeed k deepak saray dheeray dheeray bujh jaatay hein
In ko phir say sulgata hai pichli ruth ka saat tumhara

Zaat k iss zandaa'n mein saffi jee bikhri veerani k dar say
Har pal cheekhta chilata hai pichli ruth ka saat tumhara

No comments:

Post a Comment

 

Facebook Page

Advertisement

Followers