Bay Nazeer Urdu Poetry (Gazzal) Giya Awargi- with Very Sad Picture in Poetry Background

August 16, 2011

Best Editing with UrduPoetry (Shayari)


Urdu Poetry sms of Mohsin Naqni a Great Poet

Yeh dil , yeh pagal dil maira kion bujh gia Awargi
iss dasht main aik shehr tha woh kia hoa awargi

kal shab mujay bay shakal ki awaaz nay chonka diya
main nay kaha tho koan hai oss nay kaha awargi

logo bhala iss shehr main kaisay jiay gain ham jahan
ho jurm tanha sochna lakin saza awargi

yeh dard ki tanhayian, yeh dasht ka veeran safar
ham loag tho uktha giay hai apni suna awargi

aik ajnabi jhonkay nay jab poocha mairay gham ka sabab
sehra ki bheegi rait par main nay likha awargi

iss simt vehshi khwahishon ki zad main paiman ay wafa
iss simt lehron ki dhamak, kacha ghara, awargi

kal raat tanha chand ko daikha tha main nay khwab main
Mohsin mujay raas aiy gi shayad sada awargi

No comments:

Post a Comment

 

Facebook Page

Advertisement

Followers