Pyar Bhari Shayari Sms About Sweet Lover ! 2012 Year

June 19, 2012


Wo anna parast sahi us ki baton mein iqrar bhi tha.
Us k chubtay hue lehjay mein chupa pyar bhi tha.

Wo mujhy likhta ha k muntazir na raho lakin.
Us ki tahreer mein sadion ka intzaar bhi tha.

Wo kehta ha mat rutho k mananaa nahi aata.
Meri narazgi pe lakin wo bekarar bhi tha.

Main shayad phir na likhta usy apni khabar.
Dosti ka bharam rakhna tha kuch dil be_ikhtiar bhi tha.

Shayad yehi us ka anadaz-e-mohabat ho.
Wo mera hum dam bhi tha sitam shuaar bhi tha.


Legendary Poet Ahmad Faraz Urdu Poetry in Two Line

June 14, 2012


Jo diay lay k nikaltay hein faraz

Woh be kha jatay hein tokar daikho

Two/2 Line Shayari Sms ! Dard Bhari & Sad

June 13, 2012


Jo burai ti meray naam say mansoob hoi
Dostho'n kitna bura tha mira acha hona

Two Line Shayari On Bay Wafai Of Lover !

June 12, 2012


Kia tamasha hai k khud apni adaalat mein khalash

Ham hi tehray bay wafa ya bay wafa koi na tha

Six Line Urdu Poetry On Web !

June 11, 2012


Iss k aagay jo ro raha hoan mein
Aik pathar bigho raha hoan mein

Jagta hai woh meri ankhon say
Os ki ankhon say so raha hoan mein

Fakhar hai muj ko iss himaqat par
Ghaas pathar pay bu raha hoan mein
 

Facebook Page

Advertisement

Followers