*~* Suno Larki *~* Kisi Ko Tumnay Chaha Tha

May 4, 2012

Urdu Poetry in Long Ghazal Form !

*~* Suno Larki *~*

Suno Larki

Kisi ko Tumnay chaaha tha,,

w0h tumhain mil nahi paya

Kisi ko Mainay chaaha tha,,

w0h Mujhay mil nahi payi

Adhuri Tum bhi ho ab tak

Adhura main bhi h0n ab tak

Adhuray pann ki tanhaayi tumhain bhi

dasti rehti hay

Adhurey pann ki tanhaayi Mujhey bhi

dasti rehti hey

Fresh Urdu Poetry : Designed Urdu Ghazal April 2012

April 19, 2012

Urdu Ghazals Designed@Poetrylog

sad urdu poetry designed poetrylog

Four Line :Urdu Poetry :Sad & Simple Poetry Sms.

April 14, 2012

Hijar Laazim Hai To Phir Wisaal Ka Waada Kesa

Youn Khizan Rut Pe Baharon Ka Libaadah Kesa


Zakhm De Kar To Na Tum, Dard Ki Shiddat Pucho

Dard To Dard Hai Thorra Kaisa, Ziyada Kaisa...

Three Best Sher in 2 Line Shayari in Urdu : 2012

April 10, 2012

Ishq To Sar He Mangta Hai Miyaan

Ishq Par Karbala Ka Saya Hai


-----------------------------------------------


Mujh se kiya gila hai tum ko,Aakhir itnay Badgumaan q ho...?

Main nay tum ko chaha hai, Tum say to kuch nahi chaha..


-----------------------------------------------


Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai Mohsin

Teri Aankhien Mery Khuwabon Se Kitni Milti Julti Hain 


>>>


There is plenty of best urdu poetry & sms collection keep visiting,keep enjoying


2 Line Shayari :Sad Version 2012

Urdu Poetry On Wafa - Urdu Ghazals Version 2012

April 9, 2012

Socha nahi acha bura dekha suna kuch bhi nahi
Manga khuda se raat din tere siva kuch bhi nahi

Dekha tujhe socha tujhe chaha tujhe puja tujhe
Meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahi

Jis par hamari aankh ne moti bichaye raat bhar
Bheja wahi kagaz use hum ne likha kuch bhi nahi

Ik sham ke dahaliz par baithe rahe wo der tak
Aankhon se ke baten bahut muh se kaha kuch bhi nahi

Do char din ke baat hai dil khak mein so jayega
Jab aag par kagaz rakha baki bacha kuch bhi nahi

Ahasas ke khushbu kahan, aavaz ke jugnu kahan
Khamosh yadon ke siva, ghar mein raha kuch bhi nahi
 

Facebook Page

Advertisement

Followers