Yaar Ko Hamne Ja Ba Ja Dekha - Urdu Poetry That Touches Heart

May 17, 2012


Yaar Ko Hamne Ja Ba Ja Dekha
kahin zahir kahin chupa dekha

kahin momkin hoa kahin wajib
kahin fani kahin baqa dekha

kahin wo baadshaah-e-takht nasheen
kahin kaasa liye ghada dekha

kahin wo der leebaas-e-mashoka
ber-ser-ray naaz aur aada dekha

kahin ashiq niyaz ki soorat
seena phir yon dil jala dekha

Yaar Ko Hamne Ja Ba Ja Dekha
kahin zahir kahin chupa dekha

No comments:

Post a Comment

 

Facebook Page

Advertisement

Followers