You Will Enjoy When You Read,Best Ever Urdu Sad Poetry (Ghazal)

January 17, 2012

Hijr may khoon rulatay ho kaha hotay ho
Loat kr kion nahi aatay ho kaha hotay ho

Jab be milta hai koi shakhs baharoon jaisa
Muj ko tum kaisay bhulatay ho kaha hotay ho

Yaad aati hain akailay may tumhari neendain
Kis tarah khud ko sulatay ho kaha hotay ho

Muj say bichray ho tho mehboob ay nazar ho kis k
Aaj kal kis ko manatay ho kaha hotay ho

Shab ki tanhai may aksar yeh khiyal aata hai
Apnay dukh ko sunatay ho kaha hotay ho
Mosam ay gul may nasha hijr ka barh jata hai
Mairay sab hosh churatay ho kaha hotay ho

Sard rathoon may tumhain kaisay bhula sakta hoan
Aag si dil may lagatay ho kaha hotay ho

Tum tho khushion ki rafaqat k liay bichray tay
Ab agar ashk bahatay ho kaha hotay ho

Shehr k loag be wasiq yahi krtay hain sawal
Ab buhat kam nazar aatay ho kaha hotay ho

Browse More Urdu Shayari Best Collection :
 Urdu Poetry in Urdu "Shart Yeh Hai Koi Banhon May Sanbalay Muj 

No comments:

Post a Comment

 

Facebook Page

Advertisement

Followers