Urdu Ghazal : Sher o Shayari Of Syed Wasi Shah ! Special

December 28, 2011

Meri wafa nay khilaiy thay jo gulaab saaray jhulas giay hain
Tumhari ankhoon may jis qadar thay woh khwab saaray jhulas giay hai

Meri zameen ko kisi naiy hadsay ka hai intaizaar shayad
Gunah phalnay lagay hain ajar o sawab saaray jhulas giay hain
Jo tum giay tho meri nazar pay haqeeqathon k aazaab utray
Yeh sochta hoan k kia kron ga sarab saray jhulas giay hai

Yeh moajza sirf aik shab ki musafathon k sabab hoa hai
Tumharay oar mairay darmiyaan k hijab saray jhulas giay hai

Osay bathana k os ki yaadon k saaray safhay jala chuka hoan
Kitab ay dil may raqam thay jitnay woh baab saaray jhulas giay hai

Nazar utaon may jis taraf be mohaib saiy hai zulmathon k
Yeh kia k mairay naseeb k maahthab saaray jhulas giay hai

Tumhari nazroon ki yeh thapash hai k mairay lafzon pay a hilay hai
Sawal saaray jhulas giay hai jawab saray jhulas giay hai

Yeh aag khamooshion ki kaisi tumhari ankhon may tairti hai
Tumharay honton pay darj thay jo nisaab saaray jhulas giay hai
-----------------------------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment

 

Facebook Page

Advertisement

Followers