Shayaris in Urdu ! "Sad "Hasrat Mohani Urdu Roman English Poetry

December 7, 2011

Chupkay Chupkay raat din aansu bahana yaad hai
Ham ko ab thak ashiqi ka woh zamana yaad hai

Bahzaraan iztiraab wasd hazaroon ishtiaq
Tujh say woh pehlay pehl dil ka lagana yaad hai

Baar baar utna osi janib nigah shoq ka
Oar tira gharfay say woh ankhain larana yaad hai

Tujh say kuch miltay hi woh bay baak ho jana mira
Oar tira danthon may woh umhli dabana yaad hai

Khainch laina woh mira parday ka kona dafatan
Oar dopatay say tira woh moun chupana yaad hai
=================================
UrduPoetry of Ada Jafri "Naam hi Aiy" A Very Loving and Striking Urdu Shayari sms Gazal in Best Design

No comments:

Post a Comment

 

Facebook Page

Advertisement

Followers