Urdu Ghazal Shayari - Saat Rehtay Ho Magar Saat Nahi Rehtay Ho

November 5, 2011

Apni uljhan ko bharhanay ki zaroorat kia hai
Chorna hai tho bahanay ki zaroorat kia  hai

Lag chuki aag tho lazim hai dhoan uttay ga
Dard ko dil may chupanay ki zarorat kia hai

Ajnabi rang chalakta ho agar ankhon say
Un say phir ankh milanay ki zaroorat kia hai

Baitay hain teri mehfil may kai dost naiy
Ab tumhay yaar puranay ki zaroorat kia hai

Saat rehtay ho magar saat nahi rehtay ho
Aisay rishtay ko nibanay ki zaroorat kia hai

               ____________

                  Read Also Urdu Poetry
PARVEEN SHAKIR POET OF URDU NICE URDU POETRY-BEST GAZAL

URDU POETRY(GAZALZ),BEST ULTRA NICE URDU POETRY(PARVEEN SHAKIR)

URDU VERY BEST SHORT POETRY PICTURES,URDU SADEST POETRY PICTURES,

No comments:

Post a Comment

 

Facebook Page

Advertisement

Followers