Mere is dil ki keetabon ki tarha
Puchtey hain wo bhi sawal jawabon ki tarha
Puchtey hain wo bhi sawal jawabon ki tarha
Wo agar kholtey hain pani ki tarha
To hum bhi jaltey hain aaftabon ki tarha
To hum bhi jaltey hain aaftabon ki tarha
Wo koi phool ho nahi saktey
Unki khushboo hai sharabon ki tarha
Unki khushboo hai sharabon ki tarha
Dil mai aata hai unka ho jaoon
Mai bhi gulshan ke gulabon ki tarha
Mai bhi gulshan ke gulabon ki tarha
Unse rakhta hoon mai dua e kher
Unse rishta hai mera janabon ki tarha
Unse rishta hai mera janabon ki tarha
Wo unke hont surkh sholo se ’shamsh’
Dekhney mai hain kababon ki tarha
Dekhney mai hain kababon ki tarha
_____
No comments:
Post a Comment