Urdu Very Best Short Poetry,Great Poetry of Allama Iqbal

April 12, 2011

HAROON KI AKHRI NASIHAT

Haroon nay kaha waqt-ay-raheel apnay pasar say
jaiy ga kabi thoo be issi rehguzar say

posheeda hain kafir ki nazar say mulk ul mot
lakin nahi posheeda musalman ki nazar say
___________________________________

EUROPE

Thak may baitay hain mudat say yahoodi soodkhwar
jin ki robahi k agay haich hain zor-ay Palang

khud ba khud karnay ko hain pakay hoay phal ki tarah
daikiay parhta hain akhir kis ki jhooli may farang
_________________________________
Qatta

Kal apnay mureedo say kaha peer-ay magha nay
qeemat may yeh mayni hain durnaab say woh chnd

zehr ab hain os qom k haq main maiy afrang
jis qom k bachay nahi khud dar o hunor mand



No comments:

Post a Comment

 

Facebook Page

Advertisement

Followers